My New Book

Saturday, July 16, 2011

Sher-o-Shayari 6




sher-o-shayari..

Jalsa hi maloom na tha is takdeer ka,
Ki khaak ho gayi roshni chamakne se pehle.

Aaj jaanib aai hai jab wo pehli dafa,
Hum kabr se nikalne ko tayaar na the.

Shayari muflisi ka hi ek shor hai galib,
Ki dil ki aawaz ka tehkhana to humne bhi nahi dekha.

Har manzar me ab aapka saya shor karta hai,
Deedar to barson pehle chhin liya tha aapne.

Khayalat me ab raha karta hai tumhara aks,
Ki roz tumhe dekhne ki haisiyat nahi.

Tere mohalle se guzrega kal janaza mera,
Ki teri khooshbu jaanat me le jaane ki khwaiish hai.

Gehrai is nazm me nahi hai aye saaki,
Ki jaam hi ab dil me utra karte hai.

Tanhaii ka shor ab bebas sa hua lagta hai,
Tere jaane ka ehsaas ab paraya sa lagta hai.

surkh ho gayi hai ab kalam ki syahi likhte likhte,
Ki ab ghazal me bhi aapka deedar nahi milta.

Khadim ki ye hai peshkash aakhiri,
ki maut bhi ab aane se mana karti hai.

No comments:

Post a Comment