My New Book

Wednesday, November 17, 2010

Eid Mubarak...




Eid ka hai ye mubarak sama,
Muqaddas hai aaj ki ye bayar,ye aabohawa,
Ibadat main guzar aaj waqt tu,dastoor milega kahaan,
Kar de pesh khuda ko apna naseeb,wo de dega tujhe sara jahaan.

Idi main de-de to aaj tu sabko teri ye muskaan,
Gale laga aam-o-khaas ko aaj tu,fark na kar aye insaan,
Bhula de gam apne,rashq ka mita de tu naamonishaan,
Kehta hai aaj ye manzar tujhe,pak kar le aaj tu apna imaan.

Sehme hue ka ban sahara,mushkilo me dabe hue ka ban tu rehguzar,
Kewal is mubarak din par hi nahi,harek pal hi tu rakh khuddar-nazar,
Karm karta ja too shaan-e-khuda ke,robaroo ho to sach se har pehar,
Badal de apni fitrat,na kar tu kisi se berukhi,na faila tu kehar.

Hoobahoo teri hi shakal ka hai wo allahtala,
Har darakht main hai uska guzara,har panchi ko deta hai wo niwala,
Shaan main uski koi nazm nahi hai kaafi,are wohi to hai shayar ko uski mausikhi ata karne wala,
Kayanaat main jo bhi dikhta hai tujhe benoor,sabra rakh,khuda phatthar ko bhi dega ekdin ujala.

Khushiyan baat,mehmano ko nosh karwa tu aaj,
sajne de gali-chaubare,bajne de saaz,
Ki aaj Eid hai,Gurbat nahi hai aaj ka riwaaz,
Khol dil keh sabhi ko Eid Mubarak tu,kar buland apni ye aawaz.

Random Musings...