My New Book

Wednesday, October 5, 2011

Poetry...





1.
Tasveer teri gustaakh hai,kaha na manti hai,
Na dil me utarti hai,na tera pata janti hai.

2.
Imaan aisa de jo ibadat ki zaroorat ko door kar de,
Pyaar aisa na de jo rishton ki bandishon se bande ko majboor kar de,
Zindagi ki fitrat nahi palna kaaydon ke darmiyan,
Insaaniyar aisi de jo khuda aur mere fark ko door kar de.

3.
Teri nazar ke paimane bhare hai humari muhabbat se,
Kisi aur ko pila bhi doge to wo khumar kaha se laaoge,
Teri palko ke sapne jawaan hai hamare wadon se,
Kisi ko dikha bhi doge to wo wafa kaha se laaoge.

4.
Shouk hamne bhi khoye hai tujhse dil laga ke,
Ashq humne bhi duboye hai teri ashiqui me gote laga ke,
Keh na dena kisi aur se is pyaar ki dastan,
Ki marz hamne bhi boye hai tere pyaar ki dawa khake.

5.
Humne ki muhabbat bepanah,par tumhe parakhna bhool gaye,
Hidayatein to badi di duniya ne hame,par unhe aazmana hum bhool gaye,
Gire hai! thokar lagi hai yakeenan,
Par fir bhi shikayat ke panno par tera naam likhna hum bhool gaye.

6.
Umr ki baat aashiq kaha kiya karte hai,
Hum to paimana jaante hai,jitna chhalak jaaye,utna hi aur bharte hai.

7.
Nagawar thi hamein wo manzilon ki tanhaiyan,
ki bas ummeed ke saath safar karte rahe,
Humnafas thi hamari wo dilon ki ruswaiyan,
Ki unhi ko lekar apna ghar bharte rahe.

8.
Jitni is shamiyane me hai roshni,utni ab is dil me nahi,
Jitna shor is dil me hai gaalib,utna ab teri kalam ke tod me nahi.

9.
Koft hai ye ki tum na aaye mehfil me,
 Rashq ye hai ki ishq bhi hai hamare mustaqbil me,
Na jaane koun si ruh panahgaar banegi,
Ki jashn ye hai ki aawargi nazar aaye saahil me.

10.
Shaoor nahi tha itna ki tumhare jaane ka istekbaal kar lete,
Par aanson bhi kahan is jahan ki rawayaton se khoufzada hai.

11.
Kaabil tha wo sher jo aapki nazar ki dad le gaya,
Varna ek hum hai jo aapki berukhi se hi tasallii kar lete hai.

12.
Nazar nazar ki baat hai tera hamse milna yun sareaam,
Sab samjhe kuch aur hai waqya,hum samjhe sab de rahe hamein ilzaam.

13.
Zikr unka na kiya karo mehfil me,
Ki badi mushquil se hosh gawaya hai,
Khali botal se na pilaya karo mehfil me,
Ki nigahon me ab dil ka khoon utar aaya hai.

14.
Chalka le jaam,ki aanson hai ab kam,
Mehka de ab gulshan,ki dilon me ab gul kahan aye sanam,
Ibadat kar le us nadaani ki,ki khudarah par ab hai tam,
Na keh apna gam tu is jahan se,ke nahi hai ab wo aankhein jo ho jaaye tere liye nam.

15.
Jab nikalta hoon sarfaroshi me,lagta hai koi besabab aarzoo hai,
Jab jalta hoon is khamoshi me,lagta hai koi najaani justajoo hai,
Kya khabar hai hamein kaun hai qo jo hai pardanashin,
Jab dekhta hoon zalzale ki dhool me,lagta hai koi veerane ki guftagoo hai.

Random Musings...