Chhoti Chhoti Yadein: Mera Bachpan
Aksar tatolti hai mujhe wo chhoti chhoti yadein,
Wo khel ladakpan ke,bachpan ke wo vaade.
Kya main hi tha wo jo the hamare saath,ye poochti!
Kabhi athkheliyan dohrati,kabhi paheli boojhti!
Yaad nahi theek se wo rona cycle se girne par,
Kaun si thi wo lakdi,jo maar chalata tha us tyre par.
Baarish me wo behte paani me machalna,
Nikar pahen bedhadak awara wo bhatakna,
Aanwale ki khatas par wo daant bheench lena,
Wo kulfi wale ki ghanti par kaan khade hona,
Bachpan me sab sahi tha,
Khara khota sab hara tha.
Tarkash ke teer ki maafik daud jaata tha race me,
Ghar chhodne ki dhamkiyan badi di hai chutpan ke us taish me,
Aaram tha maa ki god aur pita ke kandon ki uchaai me,
Sihran thi pita ki daat ke dar me,marham maa kis dular me.
Kya yaad hai tumhe,yaadein poochti hai aksar ye roobaroo,
Ek naya sikka bhi khazana lagta tha,
Us nayi toffee ke swad ko dil deewana lagta tha,
Kitna alag tha wo manzar,kitna maasoom the wo baras,
Apni khwahishon ko rupyon me tolte nahi the hum,
Varna aaj to lakhon bhi kar jaate hai beabroo.
Ab jab likhne ko dil chahta hai,
Aaj jab apne jazbat ukerne ko dil chahta hai,
Yaad aata hai wo school uniform,wo teacher ka harpal daantna,
Kitabein bachpan ki,wo amar kahaniyan,wo ka kha ga aur ABCD ka ratna.
Yadein jhakjhorti hai mujhe har us vakye ki or,
Meri izzat ki jab jab thami thi mere maa-pita ne dor,
Kehti hai yein bhula na dena kahi aadambar me us pyaar ko,
Lajja rakhna unki bhi,chahe dutkar saare sansar ko.
Apni galiyon ka jab tha main raja,
Nange pair hi udham machata,bajata jor se do paise ka wo baaja,
Har cheez lagti thi badi badi si,raha chhutpan ko kosta sada,
Ab badi lagti hai wo bachpan ki wo meri duniya hi,le chal mujhe wahan yada-kada.
Ghaas-phoos ke kaanton se bhi thi tab gehri dosti,
Un maidano me ki jo dosto ke sang,bhoolti nahi wo masti,
Compass box me samet kar pencil,rubber,sharpner aur scale,
Adhman pahunchta tha tab school,lagti thi wo ek jail.
Ab rahi nahi wo imarat jahan baalpan gujra tha kabhi,
Kho gaye dost saare,bhichhad gaye wo log sabhi.
Yaadein poochti hai aksar,ki yaad hai tumhe wo pyaari si gudgudi,
Ek chhavi ubhar aati hai aankhon me us baarish ki,sadak par behti meri nanhi si nadi.
Bhulna mat toot-te daanton aur nai Choton ke wo kisse,
Nayi kitabon ka wo josh,naye khiloune mere jalte the doosre bacche jinse.
Cartoon ki wo jo har subah se rah taki thi,
Jhoolon par ek baar aur baithne ki aas bhala kab ruki thi,
School ka wo pehla fancy dress,wo pehli baar padi teacher ki scale,
Har baar ka bhai-behno se jhagda,Bachpan ye kaisa bemel.
Nanhi si darakht me simat jaata tha tab,tha dubla sa,
Papa ki scooter par ulta baithne me tha ek alag hi maza sa.
Har cheez,har imarat lagti thi badi-badi si tab,
Baal sawarne aate na the,naai tak jaane me karta tha kartab.
Patakhon aur mithaii se tha tab sarokar,
Kise chinta thi kya hai diwali ka tyohar.
Holi par bhoot banta aur itrata tha,
Chhota sa tha,par sabko khoob darata tha.
Chhutiyan un tapti garmiyon ki nahi jalati thi twacha ko kabhi,
Khajoor,Kavit,imli aur jaamun ki thi satat lalak,paththar jage kabhi kabhi.
Nana-Naani,Dada-Daadi ka wo dular aur wo kahaniyan,
Aaj bhi ghere hai man ko,maaf thi sab shaitaniyan.
Chitra ukerta tha tab bhi par,rang bharta tha dil par,
Has deta hoon aaj bhi par,khushi kho gayi kahi in paison ke dher par.
Komal bachpan ka swad aaj bhi roj subah toothpaste me aata hai,
Thook deta hoon badappan ki chintayein,wo ladka aaj bhi milne aata hai.