My New Book

Thursday, April 28, 2011

Mindless Meanderings....4








Rituraaj....

Ghaas-foos ho rahi prafullit anandan,
Mahish-mesh kar rahe dhara vandan,
Rishi-muni hai dyaan magna sab,
Bhaskar darshan durlabh hue ab.

Ki jagat ke garal ko harne,
Is bhavsagar ki mrigtrishna ko varne,
Kooch kiye swarg se indradev ne,
Neer-ras bhar megh suvarne.

Tapan-jalan me magan thi jo vayu,
Vahi sarakhon par la rahi ye varsha megh chirayu.

Mantra-tantra sabhi hue safal sakare,
Ghumad-Ghumad kar aaye aaj megh tihare,
Baras-baras gaya jal,kabhi thos kahin fuharein,
Ankurit hua nav jeev kahin,trupt hue baant johte bechare.

Sheetal karti ye varsha irsha,dwesh aur vaasana,
Paavan hota antarman,prajwalit hoti agni aur ye upasana.

Seekh moorkh in bhatakte baadalon se,
Tap svayam,barsa amrit apni indriyon se,
Ki samay ka chakka athak hai,phir ghoomega,
Vartamaan tera bhale ho nabh kora,phir jhoomega.


Random Musings...