Sangeet::
Mridang ki taal par jo swar lahriyan uthi naach,
Sabhi hatprabh khade rahe,nihaar is mohak mrigtrishna ko aaj.
Sangeet ghul gaya lagta hai is vayu pravah main,
Swar madhurya ab hai chahun ore,dhara bhi kaanp uthi hai par taal main.
Sitaar ke sau taar mano tarango se kar rahe hai shringar,
Table ke thaap se madmast ho rahi ye bayaar.
Har ek vadya ab jugalbandi me piro raha hai anand ke moti,
Raagon ko chhed gayak urvara kar rahe is desh ki maati.
Gher liya hai aamokhas ko shehnai ki lambi taan ne,
Veena ke swar me swarg ki apsara avtarit ki hai maano swayam bhagwaan ne.
Samet liya hai sabhi bhavnaao ko in saat swaron ne,
Harek bhav-bhangimayein taktaki lagaye hai is mousikhi ke muhaane pe.
Raagon aur tarano ka aaj ho raha adbhut sangam,
Apne karnon me sun aanandit ho rahe sabhi ye kampan.
Kya dev kya daanav,sabhi mila rahe hai taal se taal,
Aakansha hai sabhi ki is sargoshi me ho jaaye nihaal.
No comments:
Post a Comment