My New Book

Tuesday, April 19, 2011

Swaraj...





Rakt-Ranjit hai ye path jo liye chala hoon aaj,
Ubal raha wo agnipath jiska marham hai sirf swaraj,
Chahun oor shor hai is vedna ka bharsak,
Karna ho ya chakshu,sabhi ko bhed rahi is kalah ki ye kasak.

Sammohan se bahar nikla hai aaj wo yuvaaon ka praneta,
Vikiran se shudh ho gaya hai man,jo sabhi karmo ki hai nayya kheta.

Sirmour tha jo us hinsak yug ka,
Trahi-trahi kar raha wo,drut kuchale bhar raha wo,kayar kahi ka!
Dekh-jaan aamokhas ka ye sangharsh,
Harshit ho megh bhi barsa rahe amrit aaj barbas.

Palayan kar rahe dar kar ve bahri pakheru bhi,
Kahi ye jan-aandhi le na ude apne bhanwar me unhe bhi.

Sabhi bandishon ki dor kaat aaj unmukt uda hoon,
Kataar ab kewal fasal kaategi,maarkat bahut saha hoon,
Man me harshit hoon,is kodh se pa mukti,
Koi aur punah dooshit na kar de is ganga ko,lagani hogi aisi sanyukti.

Bhini-bhini khushbu hai aati is aadra zamin ki maati se,
Gaurvanvit hokar choudi hui hai ye chaati,aaj swaraaj ki dhaati se.

No comments:

Post a Comment

Random Musings...