My New Book

Saturday, November 6, 2010

Sher-o-Shayari ...(2)



Rah-e-Pak

Dastoor hai is zamane ka yahi,
benoor hai gali khudarah ki,
sehar hoti hai wahin,jahaan nahi ho koi fikri,
taimoor hai wohi,jisne na ki ho apne ruh ki bikri.

Chinta na kar,na rakh koi shaq-o-shuba,
allah ki nehmat barsegi,dar na khatkhata koi dooja,
apne karam ko rakh tu pak-e-saaf,tara koi chamak ke bina nahi dooba,
mohabbat ko bana le apna rehguzar,reham ko apna suba.

Dikkaton ke age na jhuka apna sir,
jama kar apni himmat,utha shamshir,
madad karega na koi adam,na koi peer,
dum bhar,mehnat karta ja,ban jayega tu mirza ya mir.

Rahi-sahi izzat ko na bech sarebazaar,
na kar tu danga,na utha nafrat ki diwar,
madad ki guhar na kar,na macha cheekhopukar,
sabhi insaan nahi hote hai akbar,sabhi farishtey nahi hote hai parvardigar.


Rah-e-Jannat

Kya sabab hai is gunah ka,
kya hisaab hai is misbah ka,
kya hai woh ishara,kaun hai wah khalil,
kya hai ye aabohawa,kahaan hai wo sabeel.

Gustakh hai nazar teri,baagi hai teri ada,
alag hai ye manzar,firdous tu hai kahaan?
fiza badal gayi hai,na kar moorakh intezar,
sambhaal le ab bhi bhatakte kadam,wapas aa ab o gunehgar.

Kar tasleem,kar le gunahon ko ab tu kabool,
jannat ke khwaab na dekh,bas aa ja tu is dar-e-rasool,
chhod de sab jahaan ke karobar,chad ja tu jaanib is pak-e-sool,
nahi aaya ab bhi is dar par ban fariyadi to sun le,azeem-o-gunah ban jaayegi teri ye chhoti si bhool.

Madmast hai aaj kafir bhi khuda ki qawwali main,
aa,tu bhi aaja,na kar der,pukar le khuda ko tu bhi is khumari main,
chand aur sitare gawah hai ki ab aur dayra nahi hai darmiyan,
dekh o benazar,aaj rehmat hai tujh par,lene khud aaye hai allahmiyan.



Bhichhada Hua...

Manzar wo ajeeb tha,dil hamara garib tha,
apko na de sake thodi bhi mohlat,parda tha hamrai aankhon par,wo andhera ajeeb tha,
mushkelaat aa gayi us gulistan main ab,jo ki kabhi aapse gulbag tha,
wo phool hi na raha ab, keh gaya mali ki mera bhi ab kya kaam tha.

Rukhsaar par jo jasn ki roshni labrez thi,
ab nasoor ban kar khatakti hai,kambakhat khoob thi,
paimana bhara hi reh gaya aap ka intezar karte-karte,
Jashn matam ban gaya aapke bagair aahein bharte-bharte.

Kya khoob kahi hai kisi dilwale ne,nazar unke bina nahi leti hai chamak,
gunjaish nahi hai is hasrat ki koi,ki aa jaaye unki bhi aankhon main hamare aansoon ke poorak,
jaa chale ja ,kar na tu ab apne dil ke huqm ki taamil,
wo rutha hai tujhse,peshi na hogi teri aye mere muwaqqil.

Ye shaan-e-shoukat,ye hasin darakhton aur asharfiyon ka karwan,
na khila sakte hai dil,na mita sakte hai dooriyan,
haale dil kya unka ja kar le talab,mita ye fasle jo hai darmiyan,
nikaal phenk ab jo tere tabassum main lage hai kaante,kar ja ikraar ki tu gustakhiyan.



 Dosti...

Ek haseen waqya hai aaj mujhe yaad aaya,
Pehli baar dost keh jab maine kisiko bulaya,
ek ajeeb sihran si thi us rishte main,ye main apne dil ko farmaya,
dosti hoti hi hai aisi cheez,ye apne dil par apni hi khoon se likhwaya.

Ye koi mamooli naseeb nahi,ki dost mile koi aapko aapki tareef karne wala,
par jo dost kare aapki sahi parakh,wohi nikalega aapke andhere main chhupa ujiyara,
tohfe main di hai dosti khudavan ne insaan ko,dost hi fanoos ke jaal nikalne wala,
dosti main jo bande rakhte hai us allah ki marzi,nazar unke hi ye jahaan hai hone wala.

Kashmakash hai ajeeb,dost raees ho ya garib,
par chahe har koi ,ki wo ho uske karib,
nazarein dhoondti hai us ruh ko,jo samjhe hamari sari baatein ajeeb,
shaukat ho ya ram,peter ho ya salman,sare dost hi hai mere,achha hai mera naseeb.

Koi shukriya ada nahi hota,koi saleeka ka choga nahi odhna hota,
dost aksar nazaron main hi keh jaate hai baatein,zabaan ka koi bharosa nahi hota,
rakhna apne doston sambhaal,ye rishta to farishton ko bhi naseeb nahi hota,
kehne ko to dost hai hazar,par dosti ka dayra kewal ek adad ginti se bayaan nahi hota.


Jaam par jaam ...

Ye bandish meri nahi hai aye saaki,ye tu muflisi ka kamaal hai tu bhar de ye martaban baaki,
sharaab aur mausikhi ek hi haseena ke hi do chehre hai aye humdum,dono kabiliyat rakhte aisi ki hosh-o-hawas ho jaaye nakaafi,
shayari gunguna lene se nahi ban jata koi bhi shayar,ye dard to us dil se aata hai zubaan par jo toota ho har dafa hi,
aakhiri nazm yadi rah jaye tujhe yaad,jaam pi lena is shayar ki bandish  se hi aaj tu zara si.

Shauk hai isliye gata hoon aye nargisi aankhon wali,
majboor hoon isliye pi leta hoon jaam,sharab-e-aks main gar dikh jaaye wo dil todne wali,
tere hi shahar ki thi wo haseen ulfat,ja bula la use is maquam par,akele to wo bhi nahi rone wali,
nazar aata hai ab sab mujhe pak-e-saaf,neeyat ab nahi meri bigadne wali.

Tabiyat nasaaz hi sahi,pila ji bhar tu aaj jaam pe jaam,
nasihat to sara jahaan hi dega tujhe,aaj kar mere dil ke dard ko hi salaam,
naqsha is dil-o-minar ka hai ghum hua,kahaan pahuchau main ab unka ye paigam,
bata bhi nahi sakta main sabko uska naam,badnaam na ho jaaye wo sareaam.

Lat hai buri is ishq ki kasam se,bebas ho gaya hoon apne sanam ke sitam se,
ek halak se utarne de jaam,sajda karne de unhe parde se hi ,bhale thodi sharam se,
nakaafi hai ab to ye didar-e-salook,chaand ko bula la zameen par,albatta raham se,
gaflat na ho jaaye aaj bhi humse aye saaki,dhyaan tu rakhna hamara aaj is nashe main chhupe marham se.

No comments:

Post a Comment