My New Book

Wednesday, November 3, 2010

Sher-o-Shayari ...(1)



Disclaimer:::This is the my first swipe at the ornate language of urdu ,so pardon any mistakes and serious misunderstandings as far as the language knowledge is concerned...

Shikan-E-Muhabbat



Rasookh hai mere zehen mein,
khuloos hai tere youvan mein,
parwana hoon,koi patanga nahi,
Ye dayra kyon?,koi paimana to nahi?

Mohabbat ki is jahaan mein,
kadra ki hai fakir-o-shaan ne,
mai to is takalluf ka taakid nahi,
Ye mohabbat meri,teri mulakaat ki mohtaaj nahi.

Ye sher likhta hoon main,bhula ke sara jahaan,
hamare dil ki dhadkano ko abhi aapne suna kahaan,
reh jaaoge dil ko thaam,gar sunoge is aashik ki guhar,
ye guzarish hai tumse,kar lo hamari khamoshi main chhupe pyar ka intezar.

Khumaar hai ab, din raat ka ab gumaan nahi,
jawaab ka intezar hai,bakhuda abhi hum fanaa nahi,
manzoor nahin hai to bas teri berukhi,
taye hai hamara milna,khuda ki yehi hai khudi.


Khuda ki khwaiish


Aalam ye hai ki sab kuch surkh hai,
Khuda ke nagar main yeh banda kurk hai,
khidmat-e-shaitan hai insaan hua,
marz ye hai bada,isne sabko chhua.

Kamzarf bhatakta kyun hai pak ki chah main?
apne dil ko tatol,kya band hai us mazar main?
nakliyat ko paas rakh kar kya haasil hoga bande?
asli sukoon to allah ki janib main hi payega sunle.

Khali poshak pehankar,aur sar par sajde ki shaan lekar,
yeh yakin na kar lena ki tu parvardigar ko paa jayega,
apne haath khol,apna dil udel,tab jaakar kahin,
tere khoon main jo khalish hai,use mita paayega.

Azan kar,khuda ko yaad kar,to sabhi kehte hain,
par tu tabhi ibadat kar,jab sab us rehnuma ko bhoolte hain,
yaad rakh,rukhsar par sharifiyat ka to sabhi odh lete hai choga,
tu apni kaifiyat main qaid kar le fazihat,khuda tera hi hoga.


Dua Hai ..


Ya khuda,aye parvardigar,mere walden ka rakha khayal,
Main abhi door sahi unse,par unka noor hi hai mere zehen main har bar,
itna shaoor chhod dena mujhme,ki na meri vajah se tapke unke aansoon,
har ek nazm ko meri,har ek saans ko meri,hai unke hi shaan-e-darbaar ke didar ki darkar.


Itna mubarak hoon main,ki hosh paya apni ammi ke aagosh mein,
kitna sukoon hai,kitna josh hai,apne abba ke saath ki gayi mauj mein,
ye pal yadgaar hai meri zindagi ke,sanjo rakhna tu inhe apne nigah-e-soz main,
rapta hai bas inhi se mera,inhi se mera mukaddas hai,inhi se hai mera jahaan.


Eid,diwali ya lohdi,main nahi bhoola karna inka istekbal,
lanat bhejoon inke naam-e-pak par,aisa koi bhi kaam to bas hai haraam,
khafa na karna in farishton ko mujhse kabhi,kahan se laaonga main teri roshni ke ye do sitare dobara,
ata kar de meri umr bhi unhe,aane de apne jahaaz par mujhe,chhoone de kinara.

Harek marz,harek tees,har nasoor ka kadha hai meri walda,
apne walid se sikha hai maine salika,sharifiyat ka wo kayda,
namaz jo maine padhi makka ki jaanib,yahi do chehre zarranashin hue mere chashme-baddoor par,
khuddari bakshi hai tune mujhe,wada karta hoon ek shikan bhi na aane doonga hozoor apne walden ke rangonoor par.


Aashiqui...

badmizaz hai tere bina ye aalam,
viraan hai sab kuch,syahi nahi hai,kaise utaoon main kalam,
ek nazrana lekar aaya hoon,karta hoon tujhe salaam,
aadab baja lata hoon sar jhuka,kar na dena tu ise kalam.

khair,ranjish nahi hai aapke didar-e-sharif se,
par main ibadat kaise karoon ab us rafeeq se,
aapki hi hai ye inayat,ki ab mehwash hai mere salib pe,
rakhi hui hai aapki amanat,jaan bhi mang lena ab is garib se.

Sarfira nahi main,na hi hoon main banjaara,
khuda ki nehmat hai,abhi tak hoon kunwara,
aap ka hi tha dil ko intezar,keh gaya hai mujhe chamakta ek sitara,
sehra aur doli,yahi ek hasrat hai ab,aankhe kar chaar baitha hoon main bechara.

jaan nisar teri har ada par aye sanam,
ek aashiq ke dil se pooch,kya dhaaye hai us par tune sitam,
mehfil main jab aap aaye aaj,kiya is naacheez par jo karam,
us karz ko karoonga ata,nahi rakhna koi aur bharam.




2 comments:

  1. @saurav ..thanks ;)
    BTW some of the above can be very well of ur use as we discussed ..;)

    ReplyDelete