Aayojan...
Karo aayojan ab nirantar bhayankar,
Daro nahi ab ,shodho tum nit naye ashud kalankar,
Ki bhari hai kan kan me aaj us lalima ki bhadak,
Nikalo bahar use Jo chhupi hui thi kabse is hriday me kadak.
Jaago ab tadke-tadke,ki bhadke rahe is man ke wo lupt-supt anu,
Khelo tum agni-katar se,ki mitti ki jagah ab khoon ban main sanu.
Hal-mudlar chhod de ab,ki harit kranti ki ab hai lalima anoothi,
Vaani ko de thaam kuch der,ki kritya me hai sabne ab apni saans jhonki.
Manjhne chali hai ab har wo patang jo nabh me udne ko hai,
Dor uski ab chooti hai gagan,hiran sher nigalne ko hai,
Sehama-bikhara jo hai use ab jaa rok,kar de deep wahan bhi wo prajwalit,
Aayojan kar ab aisa hardam tu,ki chhap chhod de tu apni wo nit-amit.
Dhara ki kokh se ab behne de tu saahas,
Kundan mat khod,koyla aur pasina baha kar tu attahas,
Us kshatru ko jo chhupa hai bheetar,nikal ab use har koh-kandahar se,
Apni aadrata ko kar tu vashpit,bhar de us pyale ko nilkanth ke halahal se.
Rok na paaye tujhe ye aasman,saagar aur ye bayaar,
Aayojan kar kuch aisa bheeshan,nistabdh ho jaaye ye sansar,
Vat vriksha aur ye nadiya bhar poori,
Vishram me hai sab,ab aandolan hai zaroori.
Granthaon me jo padha hai,ab wo karne ka waqt aaya hai,
Bhagwan ki taraf mat dekh,ki tu khud hi apna sarmaya hai.
No comments:
Post a Comment