1.
Jab Jab tere chehre ko apni aankhon me utara,
Salakhon aur zanzeron main apne dil ko jakda paya,
Chhod de ye zid,azaad kar is quaid se mujhe,
Bol de aye bala,kyun is zakhm ko sheeshe ke dhaage se tune silwaya.
2.
Dekh le apne maathe par bichi silwaton ki shikan,
sun kar dekh tere ruh ki awaaz,uski sihran,
pher na lena apne gunahon se tu nazar,
apne rukhsaar par aane de tu sharm ki thodi fikar.
3.
Chhod diya hai ab paimane ko humne,
teri aankhon se ab piya karte hain,
khol diya hai is mehkhane ko sabhi ke liye kabse,
akele to ab jaam bhi ruswa kiya karte hain.
4.
Phirdous me aapke aane se hi khile hai ye gul,
aapki udan ke hi kayaal hai ye panchi,apni udaan gaye hai bhool,
kahi chale na jaana is jannat se,aap se hi hai yahaan ka har sool,
kirdaar hi hai hum sab is duniya main,pyar to baanta hai sirf wo rasool.
5.
Tashreef jo laye aap is aashiq ke janaze pe,
Do katre mitti jo dal gaye aap meri kabra ke muhane pe,
mil gayi is ruh ko jannat,karzdar ho gaye hum aap ke is nazrane se,
zindagi to pesh kar hi chuka hoon aapke hozoor main,jannat bhi mil jaaye tujhe ye aah nikalti hai dil se is diwane ke.
6.
Har darakht par teri mehandi ke nishan hai,
Har kalrav me teri hi muskaan,
har shokh ada ki ho aap begum,
har mehfil ki ho aap jaan.
Falak par kuch chamakta jo hai,
Ye sitaare nahi,aapke hasi ke sharare hain,
is mardood dil me kuch dhadakta jo hai,
wo dhadkan nahi,aapke hi kiye ishare hai.
8.
Sambhal ja aye namuraad,kehta hai wo peer,
muhabbat na kar,pachtayega,ro padegi taqdeer,
Par ye kambakhat dil kahan mane hai,phisalta hai ye balbeer,
Ishq to hum karenge hi,chahe khud sanam bhi utha le shamsheer.
9.
Afsana-e-muhabbat bayaan karne ka de zajba sabhi ko aye khuda,
na katl kar tu majnu,na kar kisi heer-raanjhe ko juda,
ata kar apni roshni ke noor tu sabhi aashiqon ko sada,
muhabbat hi dastoor hai zamane ka,ibarat me ishq lafz hi hai khuda.
10.
Taraane hum gungunate hai aaj teri yaad me,
Salaam karte hain beshaq, teri wafa ko apni fariyaad me,
Kahi bhi raho tum magar,ye zehan me rakhna ya rakh lo zubaan pe,
Har lafz tere hi aankhon se milta hai is zubaan ko,har jumla tere intezaar se.
No comments:
Post a Comment