My New Book

Saturday, November 13, 2010

Sher-O-Shayari..(3)...



1.

Aapse mulkat ki hai ye shaam hasin;aye naazneen,
le chal,chale hum us dhalte hue sooraj ki kirno ke aagosh main;aye zarranasheen,
tera husn to hai khudagawah ek sharara;aafreen,
didar tera ho bas is nacheez ko nasib;aameen.

2.

Teri aankhon ke ujle ye paimane bol rahe hai ek anokha waqya,
tamim hai teri ruh,benazir hai tera ishq;mera shukriya,
tamaam jahaan main aisa manzar aur kahaan,sargoshi karta hai tera saaya,
muskan bikher rahi hai teri ye nazar,wo khushi bhi to hai tera hi sarmaya.

3.

Aatif hai teri peshi,har zikra me teri hai ek ruhani khamoshi,
aatish hai tera noor,har zarre par tere hi shabab ki hai tajposhi.

4.

Zeeshan-e-muhabbat ka rutba tujhe nawajta hoon aaj,
ki is zindagi ka tu hai humnawa,tu hi is gazal ka saaz,
pairo me teri jannat bakshu gar meri hukumat ho,pad gaye hai kam teri taarif main alfaz,
gairiyat hai itni mujhme ki,fanoos saja doon teri rah main nikle jab tu pahne hijab.

5.

Ye lafz aapke zubaan se jo aaye is aabohawa main udkar,
ye tohfe hai aapke hamare liye,sangmarmari shaukat bhari aapki aawaz pirokar,
shamiyana aaj hai banwaya ye teri khatir,roshni kar de tu ab isme aakar,
jo paigam-e-nigah me dastakhat hai tere,wo dohra de ab mere dil par apne gulzar ki syahi lekar.

6.

Mukhtalif lagti hai ab ye jahaan ki baatein mujhe,
koi surooor sa chhaya hai,kuch bhi na ab sujhe,
lakeer hai ye ekdum seedhi,phir bhi kyun the kadam ladkhade,ye ab na bujhe,
sehar hone ko hai lagti kya ab,sannata mujhse ye bar-baar puche.

7.

Mustakbil ban gaye ho tum mere,ye koi ittefaq nahi,
sehra me pyase ko paani mil jaaye,ye koi aam baat nahi,
gosh-e-duniya main paya hai tumhe humne,hamara naseeb to itna ala nahi,
mehsoos hui ab jaakar humein allah ki nazar,ye manzar koi jhala to nahi.

8.

Ruth kar na jao tum tamam mehfil se aye nadan mezbaan,
paimana chhod denge sab,lanat hai aisi sharab par,phaink denge ye martabaan,
zarre-zarre ko hai tumhari darkar aye dost,waapas aa zara shamiyane main,kar apne aana ko kurbaan.
sabhi yahaan aashiq hai tere,jaam se nahi dolta hai aashiqon ka iman.

9.

Sarfira hai wo kaafir jo chala hai is jahaan ko mitane,
betuka hai wo mandir jo khada hai insaan ko bharmane,
sab saaye hai humsaaye khuda ke,alag kyun lage phir tum humein karwane,
bair nahi hai ram-rahim main,yahi sabak khuda khud aaya hai aaj mujhe likhwane.

10.

Thak gaya hoon ab,thoda sa aman chata hoon,
kat gaya hoon yahaan wahaan se,thoda marham chahta hoon,
hoon main tumhara hi watan aye doston,thoda sukoon chahta hoon,
chhod do ab ye khaufnak khel,thoda reham chahta hoon.

11.

Zindagi ke pher main,harek rah par hain patthar,
chun le unhe tu,rakh apne daman main unhe sametkar,
khushi ki khoj main reh na jaaye tu bhatakkar,
kam se kam aansoon to rakh apni aakhon main ki ro paaye tu ji bharkar.

12.

Salika hai isliye tujhe pukara hai nighahon se,
khalifa hai,isliye dekha hai tujhe minaroon se,
awara hai ye dil,isliye dhoondha hai tujhe chaubaron se,
dekhne is aashiq ko jhaankti hai ab har nigaah un diwaron se.

13.

Dastoor hai yahi,ki rashq hota hai sabhi ko aashiqon se,
feharist banate hain nayi,ki sabhi zulm purane ho gaye hai in deewano pe,
manzil to kewal dard ka hi sabab hai,ye dard hi bas meharban hai is parwano pe,
na tu kar sajda in badnasibon ki mazaron pe,ki khuda khud rota hai in shahbaazon ke nishano pe.

14.

Nosh pharmaye,ye keh paros diya usne mujhe mishri ki roti,
zeher bhara tha us niwale main,maangi bhi nahi usne koi phirouti,
nahi maanga humne bhi paani,zindagi bhi manzoor nahi gar mile khairati,
zakhm bhi nahi siya tere khanjar ka,mar-mar ke jeene ki nahi thi hamrai niyati.

15.

Kadradaan the aapke,isliye kar di nazar apni jaan,
meharbaan the aap bhi thode,isliye maanga nahi hamara imaan,
bagh main to phool bhi khilte hai kaanton ke saath,ye nahi tha hume gumaan,
hum to chal diye the pyar ki rah par,man ke tujhe apne noor-e-jahaan.

No comments:

Post a Comment

Random Musings...